10 Times Pluto in Dil Dhadakne Do Said Things That Pinched Us Hard!

10 Times Pluto in Dil Dhadakne Do Said Things That Pinched Us Hard!

4 min


There’s no way Zoya Akhtar’s masterpeice Dil Dhadakne Do was NOT going to make it to the ‘Best Movies’ title. With one of the finest actors on board, that includes Anil Kapoor, Anushka Sharma, Farhan Akhtar, Ranveer Singh, Shefali Shah and others, this family movie has shown the real hypocrisy of the Indian High Society Families.

And, Pluto–the dog with Aamir Khan’s voice has humorously said some pinching dialogues that will dig a deep hole in our hearts.

1. Khayal aata hain ke agar in logon ne apne aapko khud hi banaya hai, to thoda behtar bana lete!

Duniya mein zabaane to bahot hai, magar har zabaan mein sirf paisa bolta hai.

2. Yeh reet khaas tor se hamare mulk me hai ki shadi ke baad beti parayi ho jaati hai. Beta kitni bhi shadi kar le, apna hi rehta hai.

3. Insano ke pas ek chiz bahot kamal ki hai, wo hai Zaban, Bhasha. Iski wajah se woh ek dusre ko apni feelings, ideas bata sakte hai.

Yebhi inhi ka kamal hai ki is facility ke hote hue bhi inme jitni misunderstandings hoti hai, buhzubaan janwaro mein nahi milengi.

4. Ajeeb baat ye hai ki insano ko sabse zyada bada khatra kisi aur se nahi, dusre insano hi se hai.

Toh badalne ke liye aaye din, apne rang dhang, tor tarike, sab kuch badalte badalte aksar insan kam, aur woh girgit zyada ho jata hai.

5. Insan andar se kuch aur hote hai aur bahar se kuch aur. Ye kam jab dusre karte hai, to insan ise hypocrisy kehte hai, aur agar khud karta hai to duniyadari.

6. Hum janwar bhi apne bachcho ko training dete hai. Sherni toh apne bachcho ko shikar shikhayegi. Kabutar hai toh udna. Par ek bar bachche bade ho gaye to unhe apni marzi se jine ke liye chhod dete hai.

Mahar hamare desi ma-bap kabhi maan nahi sakte ki unke bachcho mein utni akkal aa gayi hain ke apni marzi se jeeye.

7. Jab tak dum mein dum hai, ye log apne bachcho ki zindagi mein kam ek tang to adaye rehte hai.

Chahiye ke nahi chahiye, daddyji aur mummyji gyaan toh dete hi rahenge.

8. Ladkiyan ya to sare bandhan tod fod ke bhag jaye ya jo bhi kare chori chhipe kare. Apni marzi se jeena hai to aksar unke pas ye do choices hoti hai.

Koi bhi ladka agar ladki se mile jhule to khandan walo ko koi problem nahi hai. Balki khush ho jate hai ki ladka jawan ho gaya. Lekin ladki kisi ladke se mile, to khandan ki izzat mitti me mil jati hai.

9. Insan bhi ajeeb hote hai. Bat kehni kisi se hai magar kehte kisi aur se hai. Aur sabse zyada jo bat kehne se sharmate hai ya katrate hai, wo hi hai pyar ki baat.

Arey, ye to achchi baatein hai. Ab kon ye insano ko samjhaye ki agar dilm mein kisi se mahobbat hain to, to keh kyun nahi dete? Keh do!

10. Aisa kyun hai ki jab koi sath hai to insan use kitni baatein kehna bhul jata hai. Aur aisa kyun hai ki jab koi dur chala jata hai to insan ko kitni baatein yaad aati hai?

Logon ko sahi bat ka khayal zara der mein kyun aata hai?


Dhwani Bhatia

I read and I eat.